Are you searching for Filmi Shayari?
These days, Internet is full loaded with Superhit Dialogues & Shayari sites. If you need to get the high-quality Filmi Shayari & Bollywood Shayari and share it together along with your family & friends then We are providing the best & Latest Collection of Dialogues & Shayari for Love like high-quality Bollywood Movie Shayari, Shayari and Dialogues in Hindi, Superhit Dialogues, Filmy Dialogues, Padmavati Movie Dialogues, and many more.
You can peruse here your most loved Dialogues & Shayari as indicated by your emotions like love, Pain, amusing, sentimental, energy, excruciating, inspiration about existence and so on. These Dialogues & Shayari can be imparted to your companions, relative, husband, wife, spouse, girlfriend and boyfriend or as you need. Expectation you will like this Hindi Dialogues & Shayari Collection.
Filmi Shayari
Sau chaand bhi chamkenge toh kya baat banegi … tum aaye ho toh is raat ki aukaad banegi
Yeh veer kitne mahaan hai jinhone is desh ki mahaanta ko adarsh ka roop diya … mahaan hai yeh desh jis mein aaise veeron ne janam liya
Eat lots and lots of akharot, tighten your langot … and fight with bear hands, no knives no forks
Ek tha raja ek thi rani … dono mar gaye khatam kahani … main drink la raha hoon … tu la thanda pani
Gaon ki shudh hawa khai hai maine, cigarette ha dhuan nahi … faulad ka seena hai mera, haddiyon ka pinjra nahi
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahar chale … chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
Hum kahan aaise ki soche koi … tumne socha toh yeh ehsaan hua
Jise paala tha khoon-e-dil se zaar aur nathavan hokar … khabar kya thi wohi degi daga ek din jawan hokar
Kabhi na kabhi, kahin na kahin yeh deewana maara jayega … sheeshay mein dil ke utara jayega
Kal se duniya ek pyari si jannat hai … joh khul rahi hai dheere dheere woh aaj teri kismat hai
Kashmir na koi le sakta hai aur Kashmir na koi de sakta hai … Kashmir mein bus teen din aur do raat ka honeymoon package ho sakta hai
Khamosh kyun hai zameen aasman … kya curfew lag gaya hai meri jaan?
Filmi Shayari
Main dadaon ka dada hoon aur gundo ka gunda hoon … yeh sansar meri dharti aur main iska jhanda hoon
Pyar mein mohabbat mein dil joh toot jaate hain … log aisi halat mein tere paas aate hain
Rishton ki mehak bhi le udhe paad … ab baap pehda ho rahe hai beton ke baad
Sabak wafaa ka sikhaya bhi ja nahi sakta … joh seekh lo toh bhulaya bhi ja nahi sakta .. yeh haseen dard dil mein chupaya bhi ja nahi sakta … aur koi pooche toh bataya bhi ja nahi sakta
Sau mein se assi beimaan … phir bhi mera desh mahaan
Sunehre aksharon mein jayegi aapki kahani rachi … aur cheer dalenge hum tumhari jaan bachi kuchi
The one who is showered by the blessings of god … no one can erase his existence
Tu kaam karta gaya, main ishq karta gaya … tera naam hota gaya, main badnaam hota gaya
Tum apne baap ko hi khanjar dikha rahe ho kanjar … ek laafa denge aur zindagi kar denge banjar
Tumhari baadshah banne ki khwaish hai aaisi albeli … jaise raja bhoj banne koi gangu teli
Yeh phool nahi mere dil ka lahu hai … aur Daddy yeh dushman nahi, tumhari hone waali bahu hai
Ban rahi hai anjaan, teri khata nahi hai … aaise keh rahi hai, jaise kuch pata nahi hai
Bekarari hadh se badh jaye usse sada kehte hai … aur vaada karke derr se aane ko ada kehte hai
Bheek maange se aadmi zaleel aur zaar hota hai … aur nikal jaye jis phool se khushbo, woh phool bekaar hota hai
Budah hai ghoda, laal hai lagaam … kaisi yeh jodi milayi mere Ram
Chandni aanchal mein bhar layi hai tu … raat yeh chamki hai jab aayi hai tu
Filmi Shayari
Faanoos banke jiski hifaazat sarkar kare … woh mantri kyun mare, jiska ilaaj poora aspataal kare
Honth tharthara rahe hai, kaanpe lagi nazar … yeh jaadu hai, junoon ya, kisi ke ishq ka asar
Jhamela char din ka tha, hawali they mawali they … Sikandar jab gaya duniya se, dono haath khali they
Khudai bhi jhukti hai mere yaar ke samne … koi tik nahi sakta mere pyar ke samne
Kiski majaal joh chede dilair ko … gardish mein gher lete hai geedar bhi sher ko
Koi kahe jheel, koi kahe jharna, koi dilruba tujhko … main bekhauf keh deta hoon, husn ka khuda tujhko
Kudrat phir daudayegi yeh kahani … aaj ishq ke khoon se mila hai pani
Mat samajhna ki haath dikhage rok lega BST hoon … main tera khoon choos loonga EST hoon
Mera muhafiz hai khuda, toh phir hai kaun joh mujhko utha sake … teri kya aukaad hai, joh jahaan se mujhe mitta sake
Meri jaan tujhe mere haathon marna hai … usko yaad karle jisse yaad karna hai
Mohabbat ek tam-tam hai joh daudai nahi jaati … bhadak uthti hai apne aap hi, bhadkai nahi jaati
Na umeed hai, na sharaab hai … soorat-e-haal kaafi kharab hai
Nazuki tere lab ki kya kahiye … pankhadi ek gulaab ki si hai
Payal waali ruk wahin, na ho bahut magroor … moorakh hai joh chal padhe, apni hadh se door
Pizza ke tukde hote hai toh pet bharta hai … aur jab pyar ke tukde hote hai toh aashiq marta hai
Yeh haath hai ki hathoda … keedon ki basti mein kaunsa aa gaya makauda
Badalkar fakeeron ka hum bhes Ghalib … ahle-e-tamasha ke dekhte hain karam
Banakar faqeeron ka hum bhes ghalib … tamasha-e-ahl-e-karam dekhte hai
Filmi Shayari
Bekhabar soye hai woh loot ke woh neendein meri, jazba-e-dil pe taras khane ko jee chahta hai … kabse khamosh hue ho jaane jahan kuch bolo … kya abhi aur sitam dhane ko jee chahta hai
Bheenk mangni parti hain kanoon ke wafaadaron ko … par maal khane ko milta hai desh ke gaddaron ko
Chaar kandhe arthi ke, kursi ke chaar paaye … joh chahiye woh soch lo, kahe durjan Kabirai
Deewane tu kya jaane kya hai mohabbat … marne waale se poocho jeene ka matlab
Dil gaya toh gaya hosh bhi udh gaye, ek naya inquilaab aane ko hai … apni kafir nighaon ko roko zara, mera imaan dagmagane ko hai
Dil todke bhikra diye jaate hai … joh toot nahi sakte woh thukra diye jaate hai … jadh kitni bhi gehri ho mushkil hai khade rehna … joh pedh nahi hai phalte woh katva diye jaate hai
Door se main aap nazar aata hoon … zara paas aa jaon toh baap nazar aata hoon … aur bhi paas aa jaon toh phir potato chaap nazar aata hoon … aur agar bilkul paas aa jaon toh phir chup-chap nazar aata hoon
Jaldi mein woh chala kaha na goodbye … ticket lekin gira gaya, ja raha hai Dubai
You Can also read:
Shayari In Hindi
Hindi Dialogues
Dialogues In Bollywood
Dialogues Collection From Hindi Movies
Dialogue Hindi Me
Like this:
Like Loading...
Related