Are you searching for Dialogues Collection From Hindi Movies?
These days, Internet is full loaded with Superhit Dialogues & Shayari sites. If you need to get the high-quality Dialogues Collection From Hindi Movies & Dialogue Hindi Me and share it together along with your family & friends then We are providing the best & Latest Collection of Dialogues & Shayari for Love like high-quality Dialogues From Bollywood, Dialogues From Hindi Movies, Dialogues From Hindi Films, Dialogues From Films, Hindi Film Dialogues, and many more.
You can peruse here your most loved Dialogues & Shayari as indicated by your emotions like love, Pain, amusing, sentimental, energy, excruciating, inspiration about existence and so on. These Dialogues & Shayari can be imparted to your companions, relative, husband, wife, spouse, girlfriend and boyfriend or as you need. Expectation you will like this Hindi Dialogues & Shayari Collection.
Dialogues Collection From Hindi Movies
Shehar jalta hai toh jalne do, yeh aag humne hi lagai hai … log marte hai toh marne do, yeh apni khudai hai
Tu updesh hai mera mehar wala … Mahabharat naya bane mile joh saath tumhara
Tum nahi ho toh khum aur sagar-o-meena kya hai … rasam-e-maikhana nibha lete hai peena kya hai … hum barasti hui boondon mein jale hai barso … humse pooche koi savan ka mahina kya hai
Tumne sar par isse chadaya tha, tumne itna kiya hai isko kharab … tumhi har baat iski sunte the, tumhi dena biradari ko jawab
Udh ke aati hoon banke vimaan … ready rakhna love ka samaan … milke rahoongi chahe baa lele jaan
Aaina todh diya khud bhi nazara na kiya … unke jaisa ho koi yeh bhi gawara na kiya
Arre vaah Ramji chori kya banai … kahin rasgulla aur kahin malai
Baandha na mangalsutra maine kabhi kisi ko … tum ghabrao ya chillao, baandhonga main tumhi ko
Badi muddat se mere dil mein ek tasveer behti hai … teri zulfon ke chao mein meri taqdeer behti hai
Chaand chahoon na chakora, na falak ka tukda … noor chahoon na main hoori, na pari sa mukhda
Chakli, chivda, gud papdi, samose … mera toh sab ram bharose
Gulshan parast hoon mujhe gul hi nahi aziz … kaanto se bhi nibah kiye ja raha hoon main
Hamari is duniya mein zindagi thami si rehti hai … kabhi aaiyega bhut banke baithenge
Dialogues Collection From Hindi Movies
Har sher mein alfaaz toh hote hai … par har alfaaz shayari nahi … pyar toh sab karte hai … par har pyar junooniyat nahi
Hi kar rahi hai, main haaye haaye kar raha hoon … dhuan uda rahi hai, main dhuan ban raha hoon
Jabse dekha hai maine is daas ko … na Shakespeare ko padha hai na Kalidas ko
Laal mere dil ka haal hai … lagta tumpe kamaal hai … yeh tofha nahin sawaal hai … kya Subhash Ghai ki picture Taal hai?
Mazaa toh jab hai aa jaye kahin unki tabhiyat bhi … zara woh bhi toh jaane karvatein kyun kar badalte hai
Sanwaar nok palak aabruon mein kham karde … gire pade huye lafzon ko mohtaram karde
Sharaab peene de masjid mein bahetkar ghalib … yah woh jagah dikha de jahan khuda na ho
Sitaare doobte jaate hai hookah pee raha hoon main … har ek dum par chillum ki aag madham hoti jaati hai
Subah shyam thari ghani yaad aave se, saari raat mujhe jagave se … aur karne ko toh karlo call tujhe, par customer care ki wah chori baar baar balance low batave se
Yeh kaunsi manzil hai, yeh kaunsa makaam hai … aankhon mein koi chehra, hothon pe koi naam hai
Zahid sharab peene de masjid mein baithkar … ya phir woh jagah dikha de jahan khuda na ho
Dialogues Collection From Hindi Movies
Zindagi se joh kasmasaya ho … jisko marna hi raas aaya ho … woh but-e-bewafa se pyar kare jisko kutte ne kaat khaya ho
Buddhoo samajhke karta hai meri maskari … gusse mein aaonga toh kar donga teri kir-kiri
Daag jaisa ho kameez pe, woh nikalta hai Nirma ya Rin se … joh aaya hai karke mooh kala, woh nikalta hai dustbin se
Dekh sakta hai bhala kaun yeh pyare aasoon … meri aankhon mein nah aa jaaye tumhare aasoon
Dil ka sauda mehanga ho ya sasta ho … yaar ke lab se gaali khalo baansi ho ya khasta
Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai … aakhir is dard ki dawa kya hai?
Jaani dushman samajh loon aaisi nahi hai tu … magar joh maine samjha tha waise bhi nahi hai tu
Maqsad-e-ishq ka dekha hai nirala dastoor … ki hum fail huye, jab humne sabak yaad kiya
Petrol ka bhav ho assi, nabbe ya poore sau … lakhon gadiyan road pe aaye bajhte hi nau
Public garden mein phool hote hai, tum jaise kaante nahi … factory mein bonus hota hai, aaise badhe badhe ghaate nahi
Raah par unko laga laye toh hai baaton mein … aur khul jayenge do chaar mulaqaton mein
Royega toh tu, jab khelenge hum hu tu tu … aur thukenge tere mooh par thu thu thu
Tere haathon ke kangan mein dil mera atka … toot jayega zaalim agar degi isse jhatka
Teri kahani se mujhko ek sabak mila hai … ke waqt se pehle aur taqdeer se zyada kisko mila hai … uska insaaf dekh ke yeh lazmi hai yeh kehna … waah tera kya kehna, waah tera kya kehna
Dialogues Collection From Hindi Movies
Teri kainath mein aye khuda, mere dil kahin bhi laga nahi … joh tasalliyan mere dil ko de, mujhe aaisa koi mila nahi
Toofan mein bahaa hai na yeh sholon mein jala hai … ghayal hua teeron se na khanjar se kata hai … kehte hai jisse ishq qayamat hai, bala hai … takraya joh bhi isse woh duniya se mitta hai
Vishvas mat karna ispe, naqli hai iska jhanda … kabhi kutte ke pet se nikla hai murgi ka unda?
Woh copy hi kya jiska koi cover na ho … aur woh ladki hi kya jiska koi lover na ho
Woh veer hi kya jiske samne shrungaar apni palkein na jhuka de … woh shrungaar hi kya jiske samne veer apni talwar na daal de
Yeh aasoon mere dil ki zubaan hai … mere vaaste na koi ghar hai, na makaan hai
Yeh Seema woh hai jiski koi seema nahi … aur yeh Seema woh hai jiske character ka koi bima nahi
Bheje ka dahi kiya toh dhood bana daloonga … kaan ke neeche capsule laga daloonga
Bulbul se, aashiyan se, na sayyaad se gila … kismat mein qaid thi likhi fasl-e-bahar mein
Dialogues Collection From Hindi Movies
Chale jao wahan, jahan le jaye naseeb … pehle milaya tha, phir le aayega kareeb
Chedke dil ke tootte taaron ko, ab tum uski sadaa se darte ho … khud hi toofan uthaye hai tumne, aur khud hi hawa se darte ho
Dost dost na raha, pyar pyar na raha … daru ke sivah zindagi mein koi karobar na raha
Eent ka jawab patthar … gudh ka jawab shakkar … aur sajan ko sabak sikhana ho toh chalao dooja chakkar
Ek umar si jee rahi ho, magar adhoori … agar woh mil jaye, toh zindagi ho jaye poori
Gareebi todh deti hai joh rishtey khak hote hai … aur paraye apne hote hai jab paise paas hote hai
Ishq jab ek taraf hoye toh sazaa deta hai … aur jab dono taraf hoye toh mazaa deta hai
You Can also read: